July 09, 2011

sheeshe ki gudia...


sheeshe ki gudia aaj toot hi gayi...
naaz tha apne khwabon per,
ashaon per armaano per,
ankhon ki masoomiyat per,
ladakhpan ki masroofiyat per,
dil ki komal sarsarahat per,
khamosh pyaar ki aahat per,
khudai per insaniyat per,
dhadkanon ke ruhaniyat per,
izhaar ke nazuk ikraar per
do dilon ke sacche pyaar per,
aakhir mohabbat usse rooth hi gayi...
sheesh ki gudia aaj toot hi gayi..

sheeshe ki gudia aaj toot hi gayi...
apne kho gaye ek ajnabi khel mein,
chaahat bikhar gayi rishton ki 'sale' mein,
alladpan badal gaya ek karhwe ehsaas mein,
ankhein nam hui kashmakash ke gehre raaz mein,
deewani banke haari na-mukammal preet mein,
vishwas raha na uska jeevan na miit mein,
aakhir sapno ki duniya usse chhoot hi gayi...
sheeshe ki gudia aaj toot hi gayi...


The above piece is something i had penned down quite a while ago (in a weird frame of mind, im assuming..hmmm!)
I found it while cleaning my desk today and so decided to post it.

8 comments:

Anonymous said...

lajawaab. Aap hindi me bahut hi umda likhti hain. :)

Adreamygal said...

sheeshe ki gudiya ko shayad ek din tootna hi tha, kismat ne ye pehle hi likh diya tha ... Everyone of us could relate to it somewhere, at some point of our life .. Beautifully penned ..

jai said...

sheesha ho ya dil ho aakhir toot jaata hai :)

Blasphemous Aesthete said...

Beautiful, and piercingly melancholic somehow.

Pri said...

@ the lover
shukraan shukraan!! ;)

Pri said...

@ ms nobody
bang on!!! u nailed it right..i used the phrase 'sheeshe ki gudiya' for the very same reason.

thanks for appreciating :)

Pri said...

@ jai
and some lines from that same song---which indeed are very apt and true...

"Duniya ek tamasha hai
Aasha aur nirasha hai
Thode phool hai kaante hai
Jo taqdeer ne baante hain
Apna apna hissa hai
Apna apna kissa hai
Sheesha ho ya dil ho
Aakhir toot jaata hai
Lab tak aate aate haathon se
Sagar choot jaata hai"

:)

Pri said...

@ blasphemous aesthete
to that i can only say---
woh din kuch aur the,
woh samah kuch aur tha...
jis lamhe ne yeh lafz likhe,
woh lamha kuch aur tha...

:)